Kisi ki yaad may rehna bhi baara ajeeb hota hai
Her pal yahi lagta hai ke wo aate honge ,
mein to un ki yaad may khud ko mitta baitha hun
jannay wo meri yaad kya karte honge ,
Meri to raaat katti hai unhi ki yaad may akser
per wo tu ghar apne chain se sote honge ,
Jin ki yaad may Raaton ko uth uth kar Rotaa hou
kya wo meri yaad may pal bhar bhi rote honge ,
Dil ki her dewaar per jis ka naam likha hum ne
wo to apne khayalon se bhi mera naam mittate honge ,
Jin ki rahon ko phoolon se sajaya hum ne
wahi meri rah may kaanton ko bichate honge ,
kabhi na kabhi meri yaad bhi un ko sattati ho gi Sajid
yunhi meri shairon se wo dil ko behlate honge ,
|